Untitled Document
Home History Facilities Shlokas & Mantras Festivals Arti & Bhajans Photo Gallery Donations Location Contact Us

ARTI & BHAJANS

Shiv Arti

Jai Shiv onkara, Prabhu jai Shiv onkara Brahma Vishnu Sadashiv ardhangi dhara, Om Har Har Mahadev....

Ekanan, chaturanan, panchanan raje, Hansasan GarudaSan Vrishvahan saje, Om Har Har Mahadev....

Do bhuj, charu chaturbhui dashmukh ati sohe Tinon rup nirakhte tribhuvan janmohe, Om Har Har Mahadev....

Akshyamala banamala mundmal dhari Chandan mrigmad sohai, bhale shubhkari, Om Har Har Mahadev....

Shvetambar Pitambar Bagambar ange, Brahmadik Sankadik Pretadik sange, Om Har Har Mahadev....

Kar madhye kamandalu au trishul bhari, Sukhkari dukhahari jagpalankari, Om Har Har Mahadev....

Brahma Vishnu Sadashiv janat aviveka, Pranavakshar men shobhit ye tinon eka, Om Har Har Mahadev....

Trigun svami ki arti jo koi nar gave Kahat Shivanand svami man vanchhit phal pave, Om Har Har Mahadev....




Bhajan's

Kabhi Ram Banke, Kabhi Shyam Banke

Kabhi Ram banke kabhi Shyam banke Chale aana Prabhuji chale aana Kabhi Ram banke kabhi Shyam banke Chale aana Prabhuji chale aana.....

Tum Rama roop me aana Tum Rama roop me aana Sita saath leke Dhanusha haath leke Chale aana Prabhuji chale aana Kabhi Ram banke kabhi Shyam banke Chale aana Prabhuji chale aana.....

Tum Shyam roop me aana Tum Shyam roop me aana Radha saath leke murali haath leke Chale aana Prabhuji chale aana Kabhi Ram banke kabhi Shyam banke Chale aana Prabhuji chale aana.....

Tum Shivaki roop me aana Tum Shivaki roop me aana Gauri saath leke damaru haath leke Chale aana Prabhuji chale aana Kabhi Ram banke kabhi Shyam banke Chale aana Prabhuji chale aana.....

Tum Vishnu roop me aana Tum Vishnu roop me aana Lakshmi saath leke Chakra haath leke Chale aana Prabhuji chale aana Kabhi Ram banke kabhi Shyam banke Chale aana Prabhuji chale aana.....

Tum Ganpati roop me aana Tum Ganpati roop me aana Riddhi saath leke Siddhi haath leke Chale aana Prabhuji chale aana Kabhi Ram banke kabhi Shyam banke Chale aana Prabhuji chale aana.....



Jai Shiv Shankar

Jai Shiv Shankar Jai Shiv Shankar, Swami Jai Shiv Shankar Kasht haro Swami humaar, Swami kash haro humaar Sharan mein apni le ke Bhagwan, mauka do apni sewa ka He mere Bholenath, yehi vinti karta hun swaminath Kya maya hai kya nahi, main agyaani nahi jaanu

Mere Swami main to aapko sarvasv maanu

Apna sewak bana lo bhagwan, main na chahun ye sansar Main aur meri ardhangni, sewa karen aapki aur maa parvati ki Is Sansar se humein mukt kar, apne charanon mein jagah den Yehi vinti karta hun swaminaath , yehi prarthna karta hun.....

Jai Shiv Shankar, Swami Jai Shiv Shankar Sharan mein apni le ke Bhagwan, mauka do apni sewa ka Jai Shiv Shankar, Swami Jai Shiv Shankar



Khade Hain Dar pe Darshan Ko

Khade hain dar pe darshan ko Charan Shivji ke chune ko.

Agar main jal chadati hun to wo machli ka jhuta hai isiliye paer nahi padte tere mandir mein aane ko. Khade hai dar pe darshan ko Charan Shivji ke chune ko.

Agar mein phool chadati hun to wo bhanware ka jhutha hai isiliye paer nahi padte tere mandir mein aane ko. Khade hai dar pe darshan ko Charan Shivji ke chune ko.

Agar mein dil chadati hun to wo paapon ka jhutha hai Agar mein phool chadati hun to wo bhanware ka jhutha hai isiliye paer nahi padte tere mandir mein aane ko. Khade hai dar pe darshan ko Charan Shivji ke chune ko.



DAM DAM DAMARU BAJAYE

Dam dam dam dam damaru bajaye. Shiva Shankar Kailashpati Yuga yuga soya jeev jagaye. Shiva Shankar Kailashpati Om Namah Shivaya (3 times) bolo Om Namah Shivaya (Chorus) Maathe upar tilak chandrama. Peharay naaga ke mala Damaru kee dhartan pay naache. Shristi ka rakhawala Nija bhaktan (2 times) kay kashta mitaaye...

Jata joota say jaltay ganga. Bhavakay tapa mitaatee Dharti oura pyaasay jeevo kee. Maiya pyaasa bhujaatay Nija kirpa (2 times) jag say barsaye...

Mangal kari naama hay unka. Vohay shakti daata Bhavasagar say tar jaaye vo. Jo Shiva naama hay gaatha Moho maya (2 times) say manko churaaye...



JAI BHOLA BHANDARI

Jai Bhola Bhandari Shivhari, Jai Bhola Bhandari Jai Kailashapati Shiv Shanker, Sab Jagkay Hitakaari Nishadin tera gyan karay ham, shimray mantra tihaara Hay Shiva Shankar mantra jagaawo, Ohway ghat ujiyaaraa Na maami shankar, Kripakaro tripuraari...

Shanka naad say, shaa ka jagakar, Swar sangeet bahaayaa Yug yug say yea, shistee naatay, Aisa dhamru bajaayaa Teri yaad bhula kay jagmay, Dukh paway sansaari...

Teeno taap haran kar layta, Yea phir Trishul tihaara Tera naavi japay say jagmay, Milka mukti dwaaraa Mahadeo par brahma vidaata, Ayea sharan tihaari...



JAI JAI JAI SHIV

Om Namo Shivya Om Namo Shivya Om Namo Shivya Om Namo Shivya Bhakti kaa daata jag kaa daata, Aanand ban kaa aanand raasi...

Ghat Ghat byaapi param prataapi, Sewat pad Sura nar Sanyaasi Maha Dayaalu param kripaalu, Girijaa raani jaake daasi...

Sewak Prabhu Shri har charan ke, Mukta karo aanand banwaasi...



Shiva Chalisa

Jai Ganesh Girija Suvan Mangal Mul Sujan Kahat Ayodhya Das Tum Dev Abhaya Varadan

Jai Girija Pati Dinadayala Sada Karat Santan Pratipala Bhala Chandrama Sohat Nike Kanan Kundal Nagaphani Ke

Anga Gaur Shira Ganga Bahaye Mundamala Tan Chhara Lagaye Vastra Khala Baghambar Sohain Chhavi Ko Dekha Naga Muni Mohain

Maina Matu Ki Havai Dulari Vama Anga Sohat Chhavi Nyari Kara Trishul Sohat Chhavi Bhari Karat Sada Shatrun Chhayakari

Nandi Ganesh Sohain Tahan Kaise Sagar Madhya Kamal Hain Jaise Kartik Shyam Aur Ganara-U Ya Chhavi Ko Kahi Jata Na Ka-U

Devan Jabahi Jaya Pukara Tabahi Dukha Prabhu Apa Nivara Kiya Upadrav Tarak Bhari Devan Sab Mili Tumahi Juhari

Turata Shadanana Apa Pathayau Lava-Ni-Mesh Mahan Mari Girayau Apa Jalandhara Asura Sanhara Suyash Tumhara Vidit Sansara

Tripurasur Sana Yudha Macha-I Sabhi Kripakar Lina Bacha-I Kiya Tapahin Bhagiratha Bhari Purva Pratigya Tasu Purari

Danin Mahan Tum Sama Kou Nahin Sevak Astuti Karat Sadahin Veda Nam Mahima Tab Ga-I Akatha Anandi Bhed Nahin Pa-I

Pragate Udadhi Mantan Men Jvala Jarat Sura-Sur Bhaye Vihala Kinha Daya Tahan Kari Sara-I Nilakantha Tab Nam Kaha-I

Pujan Ramchandra Jab Kinha Jiti Ke Lanka Vibhishan Dinhi Sahas Kamal Men Ho Rahe Dhari Kinha Pariksha Tabahin Purari

Ek Kamal Prabhu Rakheu Joi Kushal-Nain Pujan Chaha Soi Kathin Bhakti Dekhi Prabhu Shankar Bhaye Prasanna Diye-Ichchhit Var

Jai Jai Jai Anant Avinashi Karat Kripa Sabake Ghat Vasi Dushta Sakal Nit Mohin Satavai Bhramat Rahe Mohin Chain Na Avai

Trahi-Trahi Main Nath Pukaro Yahi Avasar Mohi Ana Ubaro Lai Trishul Shatrun Ko Maro Sankat Se Mohin Ana Ubaro

Mata Pita Bhrata Sab Hoi Sankat Men Puchhat Nahin Koi Svami Ek Hai Asha Tumhari Ava Harahu Aba Sankat Bhari

Dhan Nirdhan Ko Deta Sadahin Jo Koi Janche So Phal Pahin Astuti Kehi Vidhi Karai Tumhari Kshamahu Nath Aba Chuka Hamari

Shankar Ho Sankat Ke Nishan Vighna Vinashan Mangal Karan Yogi Yati Muni Dhyan Lagavan Sharad Narad Shisha Navavain

Namo Namo Jai Namah Shivaya Sura Brahmadik Par Na Paya Jo Yah Patha Karai Man Lai Tapar Hota Hai Shambhu Saha-I

Riniyan Jo Koi Ho Adhikari Patha Karai So Pavan Hari Putra-hin Ichchha Kar Koi Nischaya Shiva Prasad Tehin Hoi

Pandit Trayodashi Ko Lavai Dhyan-Purvak Homa Karavai Trayodashi Vrat Kare Hamesha Tan Nahin Take Rahe Kalesha

Dhupa Dipa Naivedya Charhavai Anta Vasa Shivapur Men Pavai Kahai Ayodhya Asha Tumhari Jani Sakal Dukha Harahu Hamari

Nitya Nema kari Pratahi Patha karau Chalis Tum Meri Man Kamana Purna Karahu Jagadish



Untitled Document
Home   History   Facilities   Shlokas&Mantras   Festivals   Arti&Bhajans   Photo Gallery   Donations   Location   Contact Us   Comments
Site designed and maintained by Kapil Dhiman
Copyright© 2007 - 2008, Sda Shiv Mandir